Friday, March 16, 2018

Main Bawaqt-e-Sahar Ik chaman main Gaya

 Main Bawaqt-e-Sahar Ik chaman main Gaya


Main Bawaqt-e-Sahar ~ ik Chaman mein Giya
Tehnio pe Khile ~ Phool thay ja baja

Gul ke Patton say ~ mayn ne Suni ye sada
Parrahe thaey woh ~ Shabnam se karke wazoo

Allahooo ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu

Phoocha Toor se me ne ke ~ aai bawafa
Phoocha toor se me ne ke ~ aai bawafa

Kis kay barqe Tajjali ~ pe hay tuu Jalgiya
Bola batalaoon kia ~ Uss jalan ka Maza

Phir usee aag kee hay ~ mujhe Justojoo
Phir usee aag kee hay ~ mujhe Justojoo

Allahooo ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu

Yay Zameen Jab na thi ~ Asmaan jab na tha
Koi yahan jab na tha ~ Koi wahan jab na tha

Parahay thay woh sab milkay ~ yay Roo baru!
Allahu ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu

Allahooo ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu

Phoocha Bulbul say main ~ ne ke aay batlaa
kiske Ruqsaar galon ~ pe hay tu fidaa

Kiske gham main hay ye ~ Teri halath tabaa!
Boli ankhon se apna bahakar lahoo!

Allahooo ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu

Arz kee main ney sumbul ~ se ke aay justojoo
Subha ko kar ke shabnam ~ se karke taza wazoo

Jhoom kar Konsa ~ Zikr karta hay tho
Sunke karne laga ~ Dambadam zikre hoo

Allahooo ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu

Deikha Ik Din faqeeron ~ kee Mahfil mein jaa
Tha bhi chona zameen ~ pe bhicha khanska

har taraf tha faqeeron ~ ka Ik Jam ghata
kehrahe thay woh ~ sab dil se hu huhuu!

Allahooo ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu

Tera khadim hoon lekin ~ Gunahgaar hoon
tuu hay bahre karam mein ~ sharamsaar hoon

Main shafat nabee ka ~ talabgaar hoon
tu ne farmadiya hay ke ~ laa takhnatu

Allahooo ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu

Main Bawaqt-e-Sahar ~ ik Chaman mein Giya
Tehnio pe Khile ~ Phool thay ja baja

Gul ke Patton say ~ mayn ne Suni ye sada
Parrahe thaey woh ~ Shabnam se karke wazoo

Allahooo ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu ~ Allahu

0 comments:

Post a Comment